Posts

meet mann

Uski jasus ban gayi mai.. Chhup kar use dekhne lagi mai.. Kaha se aata hai ye, kaha jata hai.. Kya le jata hai ye,kya le aata hai.. Uske ghar me jaankh ne lagi mai.. Kabhi khushhaal dikhta hai ye,kabhi mayus nazar aata  hai ,, Kabhi bewajah bhagta hai ye,kabhi wajah ke pichhe bhagta hai.. Uski harkaton pe gaur karne lagi mai.. Suna hai apna sa lagta hai ye, kisine kaha paraya hi rehta hai.. Suna hai bahot gabhrata hai ye,kisi ne kaha pura khul jata hai, Jaan bujh kar uske kapde churane lagi mai.. Kahi par ulaj jata hai ye,kahi sulaj jata hai, Kahi bechen sa rehta hai ye,kahi chen pata hai.. Bas usi waqt samne aa gai mai.. Wo chen hi tha, jise dhundh kar, khud par chha gai mai.. Iss tarha, apne MANN se dosti kar gai mai !